Teri baatein kisi ki yaad dila jaati hai
Kuch toh aisey chu kar guzarti hai hawa si
Ki dobara jeene ka ehsaas kara jati hai
Tera wo waqt na hone ka bahana
Tera wo phone pe roothna manana
Tera wo ghanto intzar karna
Fir jawab mai bus "hmm" ka aana
Mujhe bha jata hai wo choti choti baato ko nibhana
Wo kabhi kabhi aakhir tak rulana
Mujhse meri galti manwana
Baat ko dobara tera beech mai ghaseet lana
Fir khud ko galat keh kar sorry bol jana
Yaad aata hai tera wo baato hi baato mai hasana
Wo tera kandhey pe sar jhukana
Wo tera shabdo ko sajana
Milna hota tha bahar
Par tera aansu na rok pana
Wo teri meri nasamjhi
Wo tera mera khel
Fir adhurey drink ko tera beech mai chod jana
"Uski wo nam aankhe jab mene
Jhooti karar ki thi
Tab manane ki kosish usne sab nakar di thi
Kya dikhta nhi tujhe bhi aankho ka bhar aana
Kuch yaad aata aisa mujhe wo beeta jamana"

No comments:
Post a Comment